Sunday, 26 February 2012

*KABHI KABHI MERE DIL ME KHAYAL ATA HAI*

KABHI KABHI MERE DIL ME KHAYAL AATA HAI...
ki zindagi teri zulfo ki narm chhaon me
guzarne pati to shadaab ho b sakti thi....
ye tiragi jo mere zeest ka muqaddar h
teri nazar ki shuaao me kho
b sakti thi....

ajab na tha ke mai begana-ilm hokar
tere jamaal k raynaiyo me kho rehta....
tera gadaz badan teri neem baaz ankhe
inhi haseen fizao me
mai ho rehta....

pukarti muje jb talkhiya zamane k
tere labo se halawat k ghunt pee leta....
hayaat cheekhti phirti barehna-sar or mai
ghaneri zulfo k saaye me chup ke jee leta....

magr ye ho na saka or ab ye aalam hai
k tu nahi tera gum teri justju b nhi....
guzar rahi h kuch is tarh zindagi jaise
ise kisi k sahare k aarzu b nhi....

zamane bhr k dukho ko laga
chuka hu gale
guzar raha hu kuch anjani rahguzaro se
muhib saaye meri simat bhar
ate hai
hayat-o-maut k pur-haul
kharzaro se

na koi raah na manzil na roshni ka suragh....
bhatak rahi h khalon me zindagi meri....

inhi khalon me rah jaunga
kabhi kho kar
mai janta hu meri humnafas
magar yunhi
"kabhi kabhi mere dil mein khayal
ata h"

No comments:

Post a Comment