Sunday, 26 February 2012

MERI CHAHAT HI KUCH AISI THI..........


Kar na sake hum pyar ka sauda Kimat hi kuch aisi thi. . . .

Koi na samjhe..
koi na jane..
kaisi ye
majburi hai..
paas h ek duje ke kitne fir b kitni duri hai..
Aankho me ansu ke h katre..
Honto pe khamosi hai..
Has na sake hum Ro na sake hum
HALAT hi kuch aisi thi. .

Jante the anjaam ko fir bhi har baazi khele the..
kitne gum kitne aansu teri yaad me jhele the..
Jeeti baji har gaye hum kismat hi kuch asi thi. . . .

Girte girte kabhi usne hath thama tha humara..
Sar rakh kar usne kandhe par kaha tha sath dungi mai tumhara..
Yaad aate h aaj wo pal kitne kum the.
Jee gaye uske bagair bhi himmat hi kuch aisi thi . . . .

Mangi thi uski khusiya har darbaar se..
Kabi mandir kabi masjid kabhi mazaar se..
Galti itni hui bus ki na mang paye use..
Wo khus rahi par kisi aur k sath meri IBAADAT hi kuch aisi thi..

Ek taraf h pyar ka daman
Ek taraf h farz mera soch raha hu kaise chukauo ye ZINDGANI karz tera
Dekho jara kis mor pe laye ye jalim halat hume. . . . .
Humko mili na Tumko mili CHAHAT hi kuch aisi thi . . . 

TANHAI.............

Kya likhu kya na likhu aarzu madhosh hai....
Aansu girte hai panno par or kalam khamosh hai

kabhi sardi kabhi garmi ye kudrat ke najare hai..
pyas unko bhi lagti hai jo dariya ke kinare hai..

koi mera ho jaye aisi meri takdir nahi..
mai wo shisa hu jisme koi taswir nahi..

Dard se rista hai meri khushiya mujhe nasib nahi..
koi mujhe bhi pyar kre kya mai itna khusnashib nahi..........

AAJ SHADI KI BAAT HUI HAI GHAR ME......


 ****GIRL****
Aaj Shadi Ke Baat Hui Hai Ghar Me
Hamari Muhabbat Ko chupaoge To Kese

Koi Aira Ghera Ayega Le Jaane Mujhko
Apne Hatho Se Doli Bithaoge To Kese

Tum To Iqrar-e-Muhabbat Bhi Khul Ker Na Kr Sake
Apne Ghar Walo Ko Mera Bataoge To Kese

Main Janti Thi Muqaddar Me Mere Nahi Khushiya
Ab Phoolon Ko Baalon Me Sajaongi To Kese

Teri Chahat Or Yaado Se Bhara Hai Mera Dil
Naye Hamsafar Ko Dil Main Basaongi To Kese

Palkoon Ko Num Rehny Ke Aadat si Ho Gai Hai
Kajal Ko Aankho Me Lagaongi To Kese

Aaj Shadi Ke Baat Hui Thi Ghar Me
Hamari Muhabbat Ko chupaoge To Kese

...............BOY................

Kuch Siskiya Si Mann Me Ubhar Rahi Hai
Pachtawe Ke Aag Ko Bujhaunga To Kese

Tumhari Shadi Pr Bulaya Hai Mujhko
Ye Gaaliyan Ye Chubaare Sajaonga To Kese

Ab Guzrega Din Raat Teri Yaad Me
Apne Dil Se Teri Yaado Ko Hataonga To Kese

Aaj Shadi Ke Baat Hui Thi Ghar Me
Dono Ke Muhabbat Ko chupaunga to Kese...........

MERA INTEZAAR KARNA..........

MERA INTEJAAR KARNA

Ye mosum badlate jayenge
ye din dhalte jayenge hawaou ke
rukh bhi mit jayaenge fir bhi
mera intejar karna....

laut aaounga hr mushkil tod ke,
wapas aaounga hr khushi
choudh ke,
waqt ne der kr di to
muh na ferna,
mera intejar
karna...

ye sanse ruk gai to koi gum nahi,
ye dhadkan bhi tut gai to koi gm nahi,
ek bar to lunga
khuda se ijajt tere paas wapas
aane ki,
bs meri yaado ko dil me rakhna,
mera intejar karna.....

na samajh meri bewafai ise,
meri bhi kuch majburiya he,
hr duaa me shamil tu hai mere,
fir bhi na jane kyu duriya hai,
bs thodi si dil me mere liye jagah rakhna,
mera intejar
karna....

na aaya to samajh lena khuda
ne bulaya he mujhe, hawa
bankar aaounga me, bs meri
pehchaan rakhna,
tujhe karata rahunga umar
bhar pyar mai,
bs mera intejar
karna.......

Bus ye gujarish hai ke ise sirf
padhna,
kisi ke liye istemaal na
karna,
ye meri hai aur gujarish hai
ki meri hi rehne dena aur mera intejar
karna................

*KABHI KABHI MERE DIL ME KHAYAL ATA HAI*

KABHI KABHI MERE DIL ME KHAYAL AATA HAI...
ki zindagi teri zulfo ki narm chhaon me
guzarne pati to shadaab ho b sakti thi....
ye tiragi jo mere zeest ka muqaddar h
teri nazar ki shuaao me kho
b sakti thi....

ajab na tha ke mai begana-ilm hokar
tere jamaal k raynaiyo me kho rehta....
tera gadaz badan teri neem baaz ankhe
inhi haseen fizao me
mai ho rehta....

pukarti muje jb talkhiya zamane k
tere labo se halawat k ghunt pee leta....
hayaat cheekhti phirti barehna-sar or mai
ghaneri zulfo k saaye me chup ke jee leta....

magr ye ho na saka or ab ye aalam hai
k tu nahi tera gum teri justju b nhi....
guzar rahi h kuch is tarh zindagi jaise
ise kisi k sahare k aarzu b nhi....

zamane bhr k dukho ko laga
chuka hu gale
guzar raha hu kuch anjani rahguzaro se
muhib saaye meri simat bhar
ate hai
hayat-o-maut k pur-haul
kharzaro se

na koi raah na manzil na roshni ka suragh....
bhatak rahi h khalon me zindagi meri....

inhi khalon me rah jaunga
kabhi kho kar
mai janta hu meri humnafas
magar yunhi
"kabhi kabhi mere dil mein khayal
ata h"