Monday, 5 March 2012

MERI DASTAAN.............

Wo sath wo pal wo pyar kitna haseen the,
guzre the uske bahoon me wo mere school ke din the..

Chhoda jab sath usne mera sath sab dost bhi bichad rahe the..
Ek sath do do gum mujhpar umad rahe the..

Chhoda tha jab akela humsafar ne tab dost ne sambhala tha..
Mere gum ka bojh usne apne kandhe par dala tha..

Ponch kar mere aansu usne fir mujhe hasaya tha..
fir nayi zindagi jeene ka usne raasta dikhaya tha..

Dhundne apni manzil mai nikal pada collage k galiyo me..
Ye zid thi meri fir se khilunga in nayi kaliyo me..

Ziya, amit, vikram, anshi jaise mujhe naye dost mile,
jannat si ban gayi meri collage ke chat tale..

Sach kehta hu yaaro ab pyar me dilchaspi nahi mujhe,
Jab sath hote ho sab hoti nahi kisi ki kami mujhe..

Sari khusi sath hai ab  mere, par na jane ankh kyu nam si hai..
Chahat jitni meri dil me hai unke dil me mere liye kum si hai..

Kaise batau tumhe dosto kya kimat hai tumhari mere nazro me,
mangi hai tum logo ki khusi bus jab bhi jhuka hu mai sajdo me..

Khwaise tumhare pyar se jyada aur mai kya karu,
bus dua hai tum logo ke liye mai jiyu aur maru..

Sath rahunga tum sab ke jab tak zindagi rahegi,
dost hai zindagi meri dosti se hi zindagi rahegi..

Bus itni si hai daastan maan lo ye baat meri,
jab sabkuch tha tab dosti thi jab kuch nahi hai tab bhi dosti rahi..